I’m sharing a poem that I wrote 3 years ago, on this same day (or was it previous late night?)  It’s in Urdu, full of flaws, unbalanced.mixed ideas, facts and emotions. Nonetheless, something.

Let me know what you think. 🙂 And I know it’s a bit annoying  to read Roman Urdu (specially the way I write) XD but hehe I’m tooo lazy to type it. Sorry, not sorry, sorry? 😛 (maut=moot=mot=death however you like to spell it)

My parents have given me a beautiful name, a beautiful title and if I ever truly become that. Gham e maut mujhay nahi hai. ❤ Here goes:


Sab doobtay hain gham main,
koi nai baat nahi hai.

Hanstay hai sab kabhi na kabhi,
koi khaas baat nahi hai!

Bhool jatain hain deen-e- Islam,
koi nai baat nahi hai.

Gir jatay hain dunya kay khaddon mai,
kia afsoos ki baat nahi hai?

Baghair soochay samjhay karlaytain hai loog baray gunah,
koi nai baat nahi hai!

Magr kama laitain hain kuch loog thawaab sotay hee mai,
kia khaas baat nahi hai?

Dafan hoti hain maiyatain qabaristan mai rozana,
koi nai baat nahi hai!

Zinda thay wo bhi pahlay,
kia ye soochnay ki baat nahi hai?

Soochnay baithain hum to,
kartay kuch nahi hain!

Kar kay kuch bathain to,
soochtay kuch nahi hai!

Magan rahtay hai zindagi mai,
mazaq baat nahi hai!

Bhool jatay hai hum kay,
maqsad-e-wujood ye nahi hai!

Nahi kuch kia is zindagi mai to,
moon kia dekhaingay hashr main?

Kia jannat ke kirkee khulay gi ya,
saraingay hum qabr main?

Ataa hai malik-kul-maut,
roznana khuda kay hokum say

Kheench layta hai  rooh wo badan say,
kia ye humain pata nahi hai?

Jaana hai har ik insaa ko is dunya say,
magar naikioon say pahlay inteqaal ho jai to,
kia udaasee ki baat nahi hai?

Dhans chuki ho tum is dunya kay daldal main….yahan,
Nikalo apnay aap ko tum is jal say kisi …tarha!

Dair mat karo chunkay paai jatay hain fitnay baray …yahan,
Aik say bhago to dosra aajaai ga …wahaan!

Dil-o demagh mai kabhi ik baat aatee hai mray,
Agar ban jaoon mai sahih maino mai aibon say paak,
To gham e maut mujhay nahi hai!

Rab mra mujh say razzee ho,
Kia yahi khushi nahi hai?

 

INKY